Wednesday, January 16, 2013

Aye Dost tu itna badkalam na ho



"Aye Dost tu itna badkalam na ho

ki kabhi karib se gujrae to dua-salam na ho
Dil mai haazaar gila shikva ho Magar Yeh nahi mumkin
Tum aao mere ghar mein aur ahitram na ho
Haazaar Dusmani Ho tumse,magar Khuda karen
Dil mein kabhi ahsaa..sen intekam na ho "
Tujhe Kisi Aur Ke Dil Mein Dekh,
Mein Khuda Se Karne Gaya Fariyad,
Kya Karen, Kambakhat Khuda Bhi
Tumhara Chaahane wala Nikla.

Saamne baithe raho dil ko qaraar aa'aegaa
Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa'aegaa
MaiN jo sochuNgaa tumheiN aur saMvar jaa'ogi
Phool se chehre pe kuchh aur nikhaar aa'aegaa

Ab bichhadne ka ehsaas zaraa kam hai mujhe
Jane phir laut ke kab daur-e-bahaar aa'aegaa
Meri dhadkan meiN baso tum meri saaNsoN meiN raho
Bus yehi lamhaa har ik karz utaar ja'aegaa
Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa'aegaa...

logon Se Sunthe The Ki Ishq Andhaa Hua Karta Hai
Lekin Ab Jana Ki Yeh Bewafaon Ka Dhandha Hua Karta Hai

Ishq Mein Dil Diya Hai Jaan Nahi Denge

Dil Ke Badle Dil Liya Hai Mehboob Ki Jaan Kaise Lenge


Jism Tumse Door Hai Par Ruh Tumhare Paas Hai
Mil Nahi Sakta Hoon Tumse Phi Bhi Milne Ki Aas Hai
Tumhare Aaghosh Mein Guzaare Jo Lamhe
Unhe Yaad Karke Dil Udaas hai

Jannat Ki Hoor Kahoon Ya Chaand Ka Noor Kahoon
Guloon Ki Mehak Kahoon Ya Pakshiyon Ki Chehak Kahoon
Kahan Se Laon Alfaaz Jo Teri Taareef Mein Kahoon

Woh Kehte Hain Mat Piyo Itna , Behosh Ho Jaoge

Kaun Unhe Samjhaaye, Hum To Pee Ke Hosh Mein Aate Hain


Humne bhi pyar kiya tha jindgi main,
badi joshh ke sath !
Humne bhi pyar kiya tha jindgi main,
badi shhor ke sath !
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !

kash in hasinao ke baap mar jate,
bahana gham ka hota, hum inke ghar to aate.
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga.

No comments:

Post a Comment